Peer Nasiruddin Shah Naseer

kabhi un ka nam lena kabhi unki baat karna

Peer Nasiruddin Shah Naseer

Golra Sharif, Islamabad, Pakistan

1949-2009
kabhī un kā naam lenā kabhī un kī baat karnā
mirā zauq un kī chāhat mirā shauq un pe marnā
vo kisī kī jhiil āñkheñ vo mirī junūñ-mizājī
kabhī Dūbnā ubhar kar kabhī Duub kar ubharnā
tire manchaloñ kā jag meñ ye ajab chalan rahā hai
na kisī kī baat sunñā, na kisī se baat karnā
shab-e-ġham na pūchh kaise tire mubtalā pe guzrī
kabhī aah bhar ke girnā kabhī gir ke aah bharnā
vo tirī galī ke tevar, vo nazar nazar pe pahre
vo mirā kisī bahāne tujhe dekhte guzarnā
kahāñ mere dil kī hasrat, kahāñ merī nā-rasā.ī
kahāñ tere gesuoñ kaa, tire dosh par bikharnā
chale laakh chaal duniyā ho zamāna laakh dushman
jo tirī panāh meñ ho use kyā kisī se Darnā
vo kareñge nā-ḳhudā.ī to lagegī paar kashtī
hai 'nasīr' varna mushkil, tirā paar yuuñ utarnā
Top Urdushayar.com