Peer Nasiruddin Shah Naseer

ajib manzar-e-baala-e-baam hota hai

Peer Nasiruddin Shah Naseer

Golra Sharif, Islamabad, Pakistan

1949-2009
ajiib manzar-e-bālā-e-bām hotā hai
jab āshkār vo māh-e-tamām hotā hai
hirās-e-shab, asar-e-zo.af, ḳhauf-e-rāhzanāñ
musāfiroñ pe girāñ vaqt-e-shām hotā hai
bas ik nigāh pe hai dil kā faisla mauqūf
bas ik nigāh meñ qissa tamām hotā hai
jab apne ghar pe bulātā huuñ maiñ kabhī un ko
unheñ zarūr koī ḳhaas kaam hotā hai
javāb de nahīñ saktī zabān-e-shauq mirī
kuchh is adā se koī ham-kalām hotā hai
rah-e-junūñ meñ lipaTte haiñ paañv se kāñTe
ba-har qadam ye mirā ehtirām hotā hai
nazar nazar pe sar-e-bazm hai nazar un kī
nazar nazar meñ salām-o-payām hotā hai
'nasīr' ahl-e-vafā ke baḌe marātib haiñ
bahut buland vafā kā maqām hotā hai
Top Urdushayar.com