Sabihuddin Shaibi

jise KHud se juda rakkha nahin hai

Sabihuddin Shaibi

Karachi, Sindh, Pakistan

1983
jise ḳhud se judā rakkhā nahīñ hai
vo merā hai magar merā nahīñ hai
jise khone kā mujh ko Dar hai itnā
use maiñ ne abhī paayā nahīñ hai
nuqūsh ab zehn se miTne lage haiñ
bahut din se use dekhā nahīñ hai
sunā hai phuul ab khilte nahīñ haiñ
to kyā khul kar vo ab hañstā nahīñ hai
nagar chhoḌā hai jab se us ġhazal ne
koī shā.ir ġhazal kahtā nahīñ hai
tirī yādoñ se raushan hai mirā dil
ye vo sūraj hai jo Dhaltā nahīñ hai
mirī āñkhoñ kā ye dariyā ajab hai
ki bahtā hai to phir thamtā nahīñ hai
ḳhushī kā ho koī yā ġham kā lamha
guzar jaatā hai kyoñ ruktā nahīñ hai
'sabīh'-o-ḳhūb-rū chehre ka.ī haiñ
magar koī bhī us jaisā nahīñ hai
Top Urdushayar.com