musalsal mujh pe ye terī ināyat maar Dālegī
kabhī furqat kabhī is darja qurbat maar Dālegī
ġharīb-e-shahr kā kyā is ko ġhurbat maar Dālegī
amīr-e-shahr ko daulat kī chāhat maar Dālegī
saḌak par paayā jā.egā kisī din merā bhī lāsha
mujhe sach bolte rahne kī aadat maar Dālegī
ye terī dast-gīrī ek din le Dūbegī mujh ko
mirī har baat par terī himāyat maar Dālegī
agar chāhat kī shiddat din-ba-din baḌhtī rahī yuuñ hī
'sabīh'-e-nīm-jāñ tujh ko mohabbat maar Dālegī