Sabihuddin Shaibi

rah gaya duniya mein wo ban kar tamasha umr bhar

Sabihuddin Shaibi

Karachi, Sindh, Pakistan

1983
rah gayā duniyā meñ vo ban kar tamāshā umr bhar
jis ne apnī zindagī ko khel samjhā umr bhar
tum amīr-e-shahr ke ghar ko jalā kar dekhnā
ghar meñ ho jā.egā muflis ke ujālā umr bhar
aisā lagtā hai ki ab vo qabr tak jā.egī saath
dil ke ḳhānoñ meñ nihāñ thī jo tamannā umr bhar
qarz merī qaum vo kaise chukā.egī bhalā
suud ḳhud ko bech kar jis kā utaar umr bhar
jāntā huuñ mujh ko Das legā vo mār-e-āstīñ
jis ko apnā ḳhuuñ pilā kar maiñ ne paalā umr bhar
zindagī ne.amat thī jis ko pā ke tum ḳhush the 'sabīh'
ab kaho kyā zindagī se tum ne paayā umr bhar
Top Urdushayar.com