Sabihuddin Shaibi

ab ijazat de ki main hun jaan-ba-lab ai zindagi

Sabihuddin Shaibi

Karachi, Sindh, Pakistan

1983
ab ijāzat de ki maiñ huuñ jāñ-ba-lab ai zindagī
maut aatī hai bas ab hadd-e-adab ai zindagī
kis liye ab tak jiyā huuñ aur kyoñ zinda rahūñ
apne hone kā batā mujh ko sabab ai zindagī
kyoñ banī hai jaan kī dushman mirī mujh ko batā
tere pīchhe maiñ bhalā bhāgā huuñ kab ai zindagī
husn daulat dost duniyā dil nazar har ek shai
chhoḌ jā.ūñgā tirī ḳhātir ye sab ai zindagī
sochtā huuñ kyā karegī mere bin tanhā bhalā
chhoḌ jā.ūñgā tujhe ik roz jab ai zindagī
Top Urdushayar.com