maiñ ne dekhā hai kaisā ye sapnā nayā raat ke is pahar
mujh se bichhḌā huā koī apnā milā raat ke is pahar
niiñd kyoñ uḌ ga.ī chain kyoñ kho gayā raat ke is pahar
ye achānak mire saath kyā ho gayā raat ke is pahar
yuuñ lagā mujh ko jaise fazā ḳhushbūoñ se mahakne lagī
phir kisī kī galī se chalī hai havā raat ke is pahar
dil meñ jaagī hai kaisī tamannā na.ī ḳhud maiñ hairān huuñ
ik na.ī aarzū ne mujhe chhū liyā raat ke is pahar
ek manzil basī thī nigāhoñ meñ jaane vo kyā ho ga.ī
aur ḳhud-baḳhud ek gulshan basā raat ke is pahar
us kī bikhrī huī laT ne uljhā.e rakkhā mujhe aur maiñ
chāhtā thā haTā duuñ na mumkin huā raat ke is pahar
aur kyā kījiyegā 'sabīh' us kī ab aap manzar-kashī
pal jo aayā aur aa kar chalā bhī gayā raat ke is pahar