girne vaalī hai bahut jald ye sarkār huzūr
haañ nazar aate haiñ aise hī kuchh āsār huzūr
kārvāñ yūñhī bhaTaktā rahe har baar huzūr
nek niyyat na hoñ gar qāfila-e-sālār huzūr
vo jo az-ḳhud hī bane baiThe haiñ sardār huzūr
vaqt ik din unheñ lā.egā sar-e-dār huzūr
ḳhud ko dete haiñ vo dhokā yūñhī be-kār huzūr
jo ḳhatāoñ kā nahīñ karte haiñ iqrār huzūr
sāmne aa kai rahe sach sar-e-bāzār huzūr
koī kitnā hī kare jhuuT kā parchār huzūr