Sabihuddin Shaibi

yun shahr ke bazar mein kya kya nahin milta

Sabihuddin Shaibi

Karachi, Sindh, Pakistan

1983
yuuñ shahr ke bāzār meñ kyā kyā nahīñ miltā
par husn meñ saanī koī terā nahīñ nahīñ miltā
jo kuchh dil-e-nākām ne chāhā nahīñ miltā
manzil nahīñ miltī kabhī rastā nahīñ miltā
lahja nahīñ miltā kabhī chehra nahīñ miltā
duniyā meñ hameñ ek bhī tum sā nahīñ miltā
chhoḌā hai jo ik ghar ko to duujā nahīñ miltā
ab dil sā tire koī Thikāna nahīñ miltā
aatī hai ḳhushī gar to vo miltī hai adhūrī
ġham jab kabhī miltā hai akelā nahīñ miltā
Top Urdushayar.com