ik bikharte āshiyāñ kī baat hai
ik shikasta sā.ebāñ kī baat hai
mere māthe ke nishāñ kī baat hai
un ke sañg-e-āstāñ kī baat hai
dard-o-ġham ke qāfile kā zikr hai
ashk kī mauj-e-ravāñ kī baat hai
ruuh kā rishta hai ye terā mirā
ye bhalā kab jism-o-jāñ kī baat hai
log jo kahte haiñ tum ko bevafā
tum batāo ye kahāñ kī baat hai
zaḳhm bhar kar phir hare kaise hue
bas kaf-e-chāra-garāñ kī baat hai
sach vahī hai jo abhī maiñ ne kahā
baaqī zeb-e-dāstāñ kī baat hai