yaqīñ kī had se jo nikle gumān tak pahuñche
taḳhaiyyulāt kī ūñchī uḌaan tak pahuñche
use bhī thoḌā sā ehsās-e-zulm ho jaa.e
palaT ke tiir koī gar kamān tak pahuñche
na vo hī paḌh sakā āñkhoñ meñ merī haal merā
na lafz dil ke hī merī zabān tak pahuñche
bhalā ye fan hai ke hāsil riyāz se ho jaa.e
kabhī to koī duā āsmān tak pahuñche
ajab sī be-hisī miTTī ke is makān meñ thī
so jism chhoḌ diyā lā-makān tak pahuñche
kitāb-e-zīst ke aurāq khul uThe jis dam
vo paḌhte paḌhte mirī dāstān tak pahuñche