un ke sab jhuuT mo'atabar Thahre
jo mere sach the be-asar Thahre
ham bhī sau jaañ nisār kar deñge
un kī ham par jo ik nazar Thahre
tinkā tinkā bikhar gayā āḳhir
kaise tūfāñ meñ koī ghar Thahre
din kī ḳhushiyāñ na ġham kī raat baneñ
vaqt kā bhī kabhī safar Thahre
mas.ale ek pal meñ hal ho jaa.eñ
tū agar merā chār-gar Thahre
us se kah to diyā chalā jaa.e
dil ye kahtā rahā magar Thahre
koī tadbīr ho vo lauT aa.eñ
paañv thak jaa.eñ rahguzar Thahre
jin ki nisbat siyāh shab se na ho
mere āñgan meñ vo sahar Thahre
ek aahaT kī aas meñ kab se
haiñ 'hinā' dil ke bām-o-dar Thahre