vo āsmāñ hai to ho maiñ zamīn huuñ ḳhush huuñ
anā ke shahr meñ jab se makīn huuñ ḳhush huuñ
ye jāntī huuñ ke rahte haiñ saañp is meñ magar
abhī bhī pahne vahī āstīn huuñ ḳhush huuñ
ḳhizāñ ke dasht meñ jashn-e-bahār bhī hogā
na jaane kis liye yuuñ pur-yaqīn huuñ ḳhush huuñ
sunā hai chhoḌ ke mujh ko vo kuchh udaas sā hai
maiñ us kī yaad kī ab tak amiin huuñ ḳhush huuñ
zamāna zāhirī sūrat meñ aib DhūñDhtā hai
mujhe gumāñ hai ki dil se hasīn huuñ ḳhush huuñ
vo āftāb hai charchā hai chaar sū us kā
maiñ ik charāġh huuñ gosha-nashīn huuñ ḳhush huuñ
'hinā' pe rañg-e-ibādat faqat ḳhudā kā rahā
vo sajda-rez munavvar-jabīn huuñ ḳhush huuñ