Yasmeen Sahar

jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya

Yasmeen Sahar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1968
jab ek ḳhauf sā marne kā sar pe baiTh gayā
ajiib saaya nahūsat kā ghar pe baiTh gayā
yahī kahānī thī bas apnī bādshāhat kī
faqīr ek uThā ek dar pe baiTh gayā
kahīñ to shahr meñ an-ban kisī ke saath huī
jo duniyā chhoḌ ke saarī vo ghar pe baiTh gayā
takallufāt meñ kuchh to lihāz baaqī thā
zarā sī Dhiil bhī kyā dī vo sar pe baiTh gayā
kisī kī jhūTī uḌaa.ī huī sī baat sunī
zamāna kaan lagā kar ḳhabar pe baiTh gayā
savār ham hue aise havā ke kāñdhe par
hamārā paañv bhī jaise safar pe baiTh gayā
Top Urdushayar.com