dhuāñ uḌātī huī dhīmī dhīmī bārish hai
havā kī andhī savārī pe andhī bārish hai
hamāre gaañv ke rastoñ kī kachchī miTTī par
phisal rahe haiñ qadam kitnī gandī bārish hai
zarā sī khol ke khiḌkī nazar to dauḌāo
dikhā.ī detī nahīñ achchhī-ḳhāsī bārish hai
nikalte vaqt uThā.ī nahīñ ga.ī chhatrī
mirī sahelī mujhe kah rahī thī bārish hai
hamāre aane meñ tāḳhīr ho bhī saktī hai
ye dekh kar yahī lagtā hai jitnī bārish hai
muzākarāt zamīñ kar rahī hai dhuup ke saath
kahīñ pe dekhī sunī tum ne itnī bārish hai
tamām sabz ruteñ aa ke kar rahī haiñ salām
hamāre shahr meñ mausam kī pahlī bārish hai
ThiThurte paanī meñ sāñsoñ kā nam milāte hue
nadī meñ chāñd ke ham-rah nahātī bārish hai
namī usī kī milī hai mahakte phūloñ ko
kiran kiran meñ ghulī jo gulābī bārish hai
maiñ film ke kisī manzar pe baat kar rahī huuñ
dikhā.ī jā rahī jis meñ barastī bārish hai
tamām ḳhvāb mire mil ga.e haiñ miTTī meñ
tamām shab mirī āñkhoñ meñ jaagī bārish hai
havā kī shah pe hī phirtī hai dandanātī huī
hamāre chāroñ taraf sar-phirī sī bārish hai
maiñ gaaḌī rok ke selfī banā rahī huuñ 'sahar'
magar abhī bhī yahāñ halkī halkī bārish hai