mujh pe TuuTī jo siyah-rāt batāne kī nahīñ
ya.anī ye gardish-e-hālāt batāne kī nahīñ
haañ mirā haal bhī bilkul hai tumhāre jaisā
maan lo baat ki har baat batāne kī nahīñ
dil kī rag rag meñ ghulī jaa.e halāvat jis kī
haa.e vo dard kī sauġhāt batāne kī nahīñ
dhuup ke shahr meñ mere bhī ka.ī din guzre
sar pe barsī thī jo barsāt batāne kī nahīñ
zindagī mast thī tab apnī fazāoñ meñ magan
khelī thī vaqt ne jo ghaat batāne kī nahīñ
maiñ kahānī ko na.e lafz-o-ma.ānī dūñgī
ḳhud pe guzrī huī din-rāt batāne kī nahīñ
vaqt ne kī thī raqam us ghaḌī ik umda misāl
zindagī thī jo tire saath batāne kī nahīñ
jaane anjāne meñ kyā raaz hue haiñ ifshā
yuuñ khulī mujh pe mirī zaat batāne kī nahīñ
zikr meñ lā.ūñ to chhin jaane kā ḳhadsha hai 'sahar'
aa.ī jo shai hai mire haath batāne kī nahīñ