Yasmeen Sahar

KHayal andar hi andar mar gaya hai

Yasmeen Sahar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1968
ḳhayāl andar hī andar mar gayā hai
tirā ġham mujh ko pāgal kar gayā hai
ḳhushī āñkhoñ meñ aañsū khīñchtī hai
samajh lo dil dukhoñ se bhar gayā hai
talab us ko na hogī bhuuk kī ab
mirī jānib se luqma tar gayā hai
tabāhī meñ ga.iiñ dīvāreñ ghar kī
na khiḌkī hī na koī dar gayā hai
paḌī hai gahre dukh kī zarb dil par
mukammal jis se dard-e-sar gayā hai
palaT aanā na ho mumkin jahāñ se
musāfir us masāfat par gayā hai
maiñ us ko chhoḌ duuñ sochā nahīñ hai
vo aisā soch kar hī Dar gayā hai
vo aa.egā to us se baat hogī
jo ab ke chhuTTiyoñ meñ ghar gayā hai
Top Urdushayar.com