Yasmeen Sahar

kuchh is pe sochna tha mashwara bhi karna tha

Yasmeen Sahar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1968
kuchh is pe sochnā thā mashvara bhī karnā thā
muāmle pe abhī tabsira bhī karnā thā
use bhī kahnā thā apnā ḳhayāl rakhne ko
bichhaḌte vaqt mujhe hausla bhī karnā thā
kisī ke naam ke din bhī bachā ke rakhne the
aur ek zindagī sā silsila bhī karnā thā
vo vāqi.āt bhī dil se mujhe bhulāne the
kahīñ kahīñ pe raqam sāneha bhī karnā thā
kahāñ pe aa ke kaḌī silsile kī TuuT ga.ī
kisī se maiñ ne kahīñ rābta bhī karnā thā
usī maqām pe aks apne maiñ ne dafnā.e
jahāñ pe nasb mujhe ā.īna bhī karnā thā
abhī to baat kā maiñ kar rahī thī andāza
pahuñch ke tah meñ mujhe faisla bhī karnā thā
nikal ke zindagī jaisī kaḌī haqīqat se
mujhe to talḳh sā ik tajraba bhī karnā thā
sunī haiñ us kī abhī tak shikāyateñ maiñ ne
bayān apnā koī mas.ala bhī karnā thā
nikālnā thī mujhe zindagī bhī mushkil se
mukammal ab ke koī dā.era bhī karnā thā
Top Urdushayar.com