Yasmeen Sahar

suKHan mein Dub kar afkar ke andar se nikli hun

Yasmeen Sahar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1968
suḳhan meñ Duub kar afkār ke andar se niklī huuñ
baḌī mushkil se maiñ kirdār ke andar se niklī huuñ
ye kaisī taan meñ bhar kar utārā ḳhud ko naġhme meñ
Dhalī sur meñ na maiñ jhankār ke andar se niklī huuñ
mirī marzī bhī shāmil jab huī hai us kī marzī meñ
maiñ zid ko toḌ kar inkār ke andar se niklī huuñ
kahīñ buniyād meñ shāmil huā hogā lahū merā
maiñ miTTī ho ke jis dīvār ke andar se niklī huuñ
kiyā taḳhlīq us ne mujh ko kis me.aar par rakh kar
Dhalī fan meñ na maiñ fankār ke andar se niklī huuñ
mujhe chhāñTā hai jaane kis ne rakh kar kis kasauTī par
maiñ kyā jānūñ maiñ kis me.aar ke andar se niklī huuñ
koī bhī qaus is tasvīr kī khultī nahīñ mujh par
maiñ kin hāthoñ se kis parkār ke andar se niklī huuñ
'sahar' āsāñ na thā apne muqābil aa ke ḳhud laḌnā
yahī hai jiit merī haar ke andar se niklī huuñ
Top Urdushayar.com