Naseem Sailpuri

rah-e-junun mein gham-e-zindagi ko mar diya

Naseem Sailpuri

rah-e-junūñ meñ ġham-e-zindagī ko maar diyā
ye nashsha talḳh thā ham ne magar utaar diyā
ab intizār kī shab jaane kis nagar meñ kaTe
ye din to ham ne tire shahr meñ guzār diyā
na us ne aap hī sochā fuġhān-e-dil kā ilaaj
na mujh ko ashk bahāne kā iḳhtiyār diyā
ik aur saal kā ġham dil pe ashk ban ke girā
ik aur saal tire hijr meñ guzār diyā
dayār-e-jāñ meñ koī aur saañp hai to batā
jo āstīñ meñ thā pinhāñ vo ham ne maar diyā
koī fasīl hī TuuTī na koī qufl khulā
na jaane soch ke kyā dil ko eqtidār diyā
Top Urdushayar.com