vahshat meñ bhī minnat-kash-e-sahrā nahīñ hote
kuchh log bikhar kar bhī tamāshā nahīñ hote
jaañ dete haiñ jaañ dene kā saudā nahīñ karte
sharminda-e-ejāz-e-masīhā nahīñ hote
ham ḳhaak the par jab use dekhā to bahut ro.e
sunte the ki sahrāoñ meñ dariyā nahīñ hote
ik tār-e-garebāñ kā rahe dhyān ki sab log
mahfil meñ to hote haiñ shanāsā nahīñ hote