Zehra Nigaah

rishte se muhafiz ka KHatra jo nikal jata

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
rishte se muhāfiz kā ḳhatra jo nikal jaatā
manzil pe bhī aa jaate naqsha bhī badal jaatā
is jhuuT kī daldal se bāhar bhī nikal aate
duniyā meñ bhī sar uThtā aur ghar bhī sambhal jaatā
hañste hue būḌhoñ ko qisse ka.ī yaad aate
rote hue bachchoñ kā ronā bhī bahal jaatā
kyuuñ apne pahāḌoñ ke sīnoñ ko jalāte ham
ḳhatra to mohabbat ke ik phuul se Tal jaatā
is shahr ko raas aa.ī ham jaisoñ kī gum-nāmī
ham naam batāte to ye shahr bhī jal jaatā
vo saath na detā to vo daad na detā to
ye likhne-likhāne kā jo bhī hai ḳhalal jaatā
Top Urdushayar.com