Zehra Nigaah

harf harf gundhe the tarz mushkbu ki thi

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
harf harf gūñdhe the tarz mushkbū kī thī
tum se baat karne kī kaisī aarzū kī thī
saath saath chalne kī kis qadar tamannā thī
saath saath khone kī kaisī justujū kī thī
vo na jaane kyā samjhā zikr mausamoñ kā thā
maiñ ne jaane kyā sochā baat rañg-o-bū kī thī
is hujūm meñ vo pal kis tarah se tanhā hai
jab ḳhamosh the ham tum aur guftugū kī thī
Top Urdushayar.com