Zehra Nigaah

apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
apnā har andāz āñkhoñ ko tar-o-tāza lagā
kitne din ke ba.ad mujh ko ā.īna achchhā lagā
saara ārā.ish kā sāmāñ mez par sotā rahā
aur chehra jagmagātā jāgtā hañstā lagā
malgaje kapḌoñ pe us din kis ġhazab kī aab thī
saare din kā kaam us din kis qadar halkā lagā
chaal par phir se numāyāñ thā dil-āvezī kā zo.am
jis ko vāpas aate aate kis qadar arsa lagā
maiñ to apne aap ko us din bahut achchhī lagī
vo jo thak kar der se aayā use kaisā lagā
Top Urdushayar.com