tirā ḳhayāl farozāñ hai dekhiye kyā ho
ḳhamosh gardish-e-daurāñ hai dekhiye kyā ho
na jaane kitne sitāre ye kahte Duub ga.e
sahar kā rañg pareshāñ hai dekhiye kyā ho
kalī udaas chaman sogvār gul ḳhāmosh
ye intizār-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
ajiib baat hai in tīrgī kī rāhoñ meñ
nafas nafas meñ charāġhāñ hai dekhiye kyā ho
bhaḌak rahā hai abhī tak charāġh āḳhir-e-shab
use bhī sub.h kā armāñ hai dekhiye kyā ho