is ummīd pe roz charāġh jalāte haiñ
aane vaale barsoñ ba.ad bhī aate haiñ
ham ne jis raste par us ko chhoḌā hai
phuul abhī tak us par khilte jaate haiñ
din meñ kirneñ āñkh-micholī kheltī haiñ
raat ga.e kuchh jugnū milne jaate haiñ
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne ḳhānoñ meñ baT jaate haiñ
dekho to lagtā hai jaise dekhā thā
socho to phir naam nahīñ yaad aate haiñ
kaisī achchhī baat hai 'zehra' terā naam
bachche apne bachchoñ ko batlāte haiñ