junūn-e-avvalīñ shā.istagī thī
vahī pahlī mohabbat āḳhirī thī
jahāñ ham phir se basnā chāhte the
vo bastī ho ke duniyā ho chukī thī
kushāda the bahut bāzū-e-vahshat
ye zanjīr-e-ḳhirad uljhī huī thī
kabhī har lafz ke sau sau ma.ānī
kabhī puurī kahānī an-kahī thī
sahar āġhāz-e-shab itmām-e-hujjat
ajab 'zahra' kī vaz-e-zindagī thī