ye hukm hai ki añdhere ko raushnī samjho
mile nasheb to koh-o-daman kī baat karo
nahīñ hai mai na sahī chashm-e-iltifāt to hai
na.ī hai bazm tarīq-e-kuhan kī baat karo
fareb-ḳhurda-e-manzil haiñ ham ko kyā mālūm
ba-tarz-e-rāhbarī rāhzan kī baat karo
ḳhizāñ ne aa ke kahā mere ġham se kyā hāsil
jahāñ bahār luTī us chaman kī baat karo
qadam qadam pe farozāñ haiñ āñsuoñ ke charāġh
unheñ bujhāo to sub.h-e-vatan kī baat karo
bahār aa.e to chup chaap hī guzar jaa.e
na rañg-o-bū kī na sarv-o-saman kī baat karo