jaañ denā bas ek ziyāñ kā saudā thā
rāh-e-talab meñ kis ko ye andāza thā
āñkhoñ meñ dīdār kā kājal Daalā thā
āñchal pe ummīd kā taara Tāñkā thā
hāthoñ kī bāñkeñ chhan chhan chhan hañstī thiiñ
pairoñ kī jhāñjhan ko ġhussa aatā thā
havā sakhī thī merī, rut ham-jolī thī
ham tīnoñ ne mil kar kyā kyā sochā thā
har kone meñ apne aap se bāteñ kiiñ
har pahchal par ā.īne meñ dekhā thā
shaam Dhale aahaT kī kirneñ phūTī thiiñ
sūraj Duub ke mere ghar meñ niklā thā