ruk jā hujūm-e-gul ki abhī hausla nahīñ
dil se ḳhayāl-e-tañgī-e-dāmāñ gayā nahīñ
jo kuchh haiñ sañg-o-ḳhisht haiñ yā gard-e-rah-guzar
tum tak jo aa.e un kā koī naqsh-e-pā nahīñ
har āstāñ pe likhkhā hai ab nām-e-shahr-yār
vābistagān-e-dil kai liye koī jā nahīñ
sad-haif us ke haath hai har zaḳhm kā rafū
dāman meñ jis ke ek bhī tār-e-vafā nahīñ