Zehra Nigaah

har aan sitam Dhae hai kya jaaniye kya ho

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
har aan sitam Dhaa.e hai kyā jāniye kyā ho
dil-e-ġham se bhī ghabrā.e hai kyā jāniye kyā ho
kyā ġhair ko DhūñDeñ ki tire kūche meñ har ek
apnā sā nazar aa.e hai kyā jāniye kyā ho
āñkhoñ ko nahīñ raas kisī yaad kā aañsū
tham tham ke Dhalak jaa.e hai kyā jāniye kyā ho
is bahr meñ ham jaisoñ pe har mauja-e-pur-ḳhūñ
aa aa ke guzar jaa.e hai kyā jāniye kyā ho
duniyā se nirāle haiñ tirī bazm ke dastūr
jo aa.e so pachhtā.e hai kyā jāniye kyā ho
Top Urdushayar.com