Zehra Nigaah

dil bujhne laga aatish-e-ruKHsar ke hote

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
dil bujhne lagā ātish-e-ruḳhsār ke hote
tanhā nazar aate haiñ ġham-e-yār ke hote
kyuuñ badle hue haiñ nigah-e-nāz ke andāz
apno pe bhī uTh jaatī hai aġhyār ke hote
vīrāñ hai nazar merī tire ruḳh ke muqābil
āvāra haiñ ġham kūcha-e-dildār ke hote
ik ye bhī adā-e-dil-e-āshufta-sarāñ thī
baiThe na kahīñ sāya-e-dīvār ke hote
jiinā hai to jī leñge bahar-taur divāne
kis baat kā ġham hai rasan-o-dār ke hote
Top Urdushayar.com