Zehra Nigaah

ye kya sitam hai koi rang-o-bu na pahchane

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
ye kyā sitam hai koī rañg-o-bū na pahchāne
bahār meñ bhī rahe band tere mai-ḳhāne
fanā ke zamzame rañj-o-mehan ke afsāne
yahī mile haiñ na.ī zindagī ko nazrāne
tirī nigāh kī jumbish meñ ab bhī shāmil haiñ
mirī hayāt ke kuchh muḳhtasar se afsāne
jo sun sako to ye sab dāstāñ tumhārī hai
hazār baar jatāyā magar nahīñ maane
jo kar ga.e haiñ judā ek ek se ham ko
dayār-e-ġharb se aa.e the chand begāne
Top Urdushayar.com