Zehra Nigaah

safar KHud-raftagi ka bhi ajab andaz tha

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
safar ḳhud-raftagī kā bhī ajab andāz thā
kahīñ par raah bhūle the na ruk kar dam liyā thā
zamīñ par gir rahe the chāñd taare jaldī jaldī
añdherā ghar kī dīvāroñ se ūñchā ho rahā thā
chale chalte the rah-rav ek āvāz-e-aḳhī par
junūñ thā yā fusūñ thā kuchh to thā jo ho rahā thā
maiñ us din terī aamad kā nazāra sochtī thī
vo din jab tere jaane ke liye ruknā paḌā thā
isī husn-e-ta.alluq par varaq likhte ga.e laakh
kiran se rū-e-gul tak ek pal kā rābta thā
bahut din ba.ad 'zehrā' tū ne kuchh ġhazleñ to likkhīñ
na likhne kā kisī se kyā koī va.ada kiyā thā
Top Urdushayar.com