Zehra Nigaah

ek tera gham jis ko rah-e-motabar jaanen

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
ek terā ġham jis ko rāh-e-mo'tabar jāneñ
is safar meñ ham kis ko apnā ham-safar jāneñ
jis se kuchh na kah paa.eñ jān-e-guftugū Thahre
jis se kam mileñ us ko sab se beshtar jāneñ
apnā aks bhī aksar saath chhoḌ jaatā hai
ye ma.āl-e-ḳhud-bīnī kaash shīshagar jāneñ
tār-tār kar Dāleñ sabr-o-zabt kā dāman
zaḳhm zaḳhm dikhlā deñ zarf-e-chāra-gar jāneñ
Top Urdushayar.com