Zehra Nigaah

basti mein kuchh log nirale ab bhi hain

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
bastī meñ kuchh log nirāle ab bhī haiñ
dekho ḳhālī dāman vaale ab bhī haiñ
dekho vo bhī haiñ jo sab kah sakte the
dekho un ke muñh par taale ab bhī haiñ
dekho un āñkhoñ ko jinhoñ ne sab dekhā
dekho un par ḳhauf ke jaale ab bhī haiñ
dekho ab bhī jins-e-vafā nāyāb nahīñ
apnī jaan pe khelne vaale ab bhī haiñ
taare maañd hue par zarre raushan haiñ
miTTī meñ ābād ujāle ab bhī haiñ
Top Urdushayar.com