qurbatoñ se kab talak apne ko bahlā.eñge ham
Doriyāñ mazbūt hoñgī chhuTte jā.eñge ham
terā ruḳh saa.e kī jānib merī āñkheñ sū-e-mahr
dekhnā hai kis jagah kis vaqt mil pā.eñge ham
ghar ke saare phuul hañgāmoñ kī raunaq ho ga.e
ḳhālī gul-dānoñ se bāteñ karke so jā.eñge ham
adh-khulī takiye pe hogī ilm-o-hikmat kī kitāb
vasvasoñ vahmoñ ke tūfānoñ meñ ghar jā.eñge ham
us ne āhista se 'zahra' kah diyā dil khil uThā
aaj se is naam kī ḳhushbū meñ bas jā.eñge ham