chhalak rahī hai mai-e-nāb tishnagī ke liye
sañvar rahī hai tirī bazm barhamī ke liye
nahīñ nahīñ hameñ ab terī justujū bhī nahīñ
tujhe bhī bhuul ga.e ham tirī ḳhushī ke liye
jo tīrgī meñ huvaidā ho qalb-e-insāñ se
ziyā-navāz vo sho.ala hai tīrgī ke liye
kahāñ ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visāl
abhī to log taraste haiñ zindagī ke liye
jahān-e-nau kā tasavvur hayāt-e-nau kā ḳhayāl
baḌe fareb diye tum ne bandagī ke liye
mai-e-hayāt meñ shāmil hai talḳhī-e-daurāñ
jabhī to pī ke taraste haiñ be-ḳhudī ke liye