Zehra Nigaah

raat gahri thi phir bhi sawera sa tha

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
raat gahrī thī phir bhī saverā sā thā
ek chehra ki āñkhoñ meñ Thahrā sā thā
be-charāgī se terī mire shahr-e-dil
vādī-e-sher meñ kuchh ujālā sā thā
mere chehre kā sūraj use yaad hai
bhūltā hai palak par sitāra sā thā
baat kiije to khulte the jauhar bahut
dekhne meñ to vo shaḳhs saada sā thā
sulh jis se rahī merī tā-zindagī
us kā saare zamāne se jhagḌā sā thā
Top Urdushayar.com