Zehra Nigaah

wo jo ek shakl mere chaar taraf bikhri thi

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
vo jo ik shakl mire chaar taraf bikhrī thī
maiñ ne jab ġhaur se dekhā to mirī apnī thī
phir asīroñ pe kisī ḳhvāb ne jaadū Daalā
raat kuchh halqa-e-zanjīr meñ ḳhāmoshī thī
yuuñ to ādāb-e-mohabbat meñ sabhī jaa.ez thā
phir bhī chup rahne meñ ik shaan dil-āvezī thī
raat bhar jāgne vāloñ ne pas-e-sham.a-e-zard
sub.h ik ḳhvāb kī sūrat kī tarah dekhī thī
shorish-e-sher meñ ḳhāmosh sī kyuuñ hai 'zehrā'
achchhā-ḳhāsā to kabhī vo bhī kahā kartī thī
Top Urdushayar.com