Zehra Nigaah

yun kahne ko pairaya-e-izhaar bahut hai

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
yuuñ kahne ko pairāya-e-iz.hār bahut hai
ye dil dil-e-nādāñ sahī ḳhuddār bahut hai
dīvānoñ ko ab vus.at-e-sahrā nahīñ darkār
vahshat ke liye sāya-e-dīvār bahut hai
bajtā hai galī-kūchoñ meñ naqqāra-e-ilzām
mulzim ki ḳhamoshī kā vafādār bahut hai
jab husn-e-takallum pe kaḌā vaqt paḌe to
aur kuchh bhī na baaqī ho to takrār bahut hai
ḳhud ā.īna-gar ā.īna chhoḌe to nazar aa.e
dahkā huā har shola-e-ruḳhsār bahut hai
munsif ke liye izn-e-samā.at pe haiñ pahre
aur adl kī zanjīr meñ jhankār bahut hai
Top Urdushayar.com