Zehra Nigaah

lab par KHamoshiyon ko sajae nazar churae

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
lab par ḳhamoshiyoñ ko sajā.e nazar churā.e
jo ahl-e-dil meñ baiThe haiñ chup-chāp sar jhukā.e
kah do koī sabā se idhar āj-kal na aa.e
kaliyāñ kahīñ mahak na uTheñ phuul khil na jaa.e
ab dostī vo fan ki jo sīkhe vahī nibhā.e
aur hai vafā tamāshā jise aa.e vo dikhā.e
kuchh kahnā jurm hai to ḳhatā-vār maiñ bhī huuñ
ye aur baat merā kahā vo samajh na paa.e
Top Urdushayar.com