Zehra Nigaah

ye sach hai yahan shor ziyaada nahin hota

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
ye sach hai yahāñ shor ziyāda nahīñ hotā
ghar-bār ke bāzār maiñ par kyā nahīñ hotā
jabr-e-dil-e-be-mehr kā charchā nahīñ hotā
tārīki-e-shab meñ koī chehra nahīñ hotā
har jazba-e-māsūm kī lag jaatī hai bolī
kahne ko ḳharīdār parāyā nahīñ hotā
aurat ke ḳhudā do haiñ haqīqī o majāzī
par us ke liye koī bhī achchhā nahīñ hotā
shab-bhar kā tirā jāgnā achchhā nahīñ 'zehrā'
phir din kā koī kaam bhī puurā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com