Zehra Nigaah

naqsh ki tarah ubharna bhi tumhi se sikha

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
naqsh kī tarah ubharnā bhī tumhī se sīkhā
rafta rafta nazar aanā bhī tumhī se sīkhā
tum se hāsil huā ik gahre samundar kā sukūt
aur har mauj se laḌnā bhī tumhī se sīkhā
achchhe sheroñ kī parakh tum ne hī sikhlā.ī mujhe
apne andāz se kahnā bhī tumhī se sīkhā
tum ne samjhā.e mirī soch ko ādāb adab
lafz o ma.anī se ulajhnā bhī tumhī se sīkhā
rishta-e-nāz ko jaanā bhī to tum se jaanā
jāma-e-faḳhr pahannā bhī tumhī se sīkhā
chhoTī sī baat pe ḳhush honā mujhe aatā thā
par baḌī baat pe chup rahnā tumhī se sīkhā
Top Urdushayar.com