ek ke ghar kī ḳhidmat kī aur ek ke dil se mohabbat kī
donoñ farz nibhā kar us ne saarī umr ibādat kī
dast-e-talab kuchh aur baḌhāte haf-iqlīm bhī mil jaate
ham ne to kuchh TūTe-phūTe jumloñ hī pe qanā.at kī
shohrat ke gahre dariyā meñ Duube to phir ubhre nahīñ
jin logoñ ko apnā samjhā jin logoñ se mohabbat kī
ek dorāhā aisā aayā donoñ TuuT ke gir jaate
bachchoñ ke hāthoñ ne sambhālā būḌhoñ hī ne hifāzat kī
jāma-e-ulfat bunte aa.e rishtoñ ke dhāgoñ se ham
umr kī qaiñchī kaaT ga.ī ab kaahe ko itnī mehnat kī