Zehra Nigaah

KHush jo aae the pasheman gae

Zehra Nigaah

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1936
ḳhush jo aa.e the pashemān ga.e
ai taġhāful tujhe pahchān ga.e
ḳhuub hai sāhab-e-mahfil kī adā
koī bolā to burā maan ga.e
koī dhaḌkan hai na aañsū na ḳhayāl
vaqt ke saath ye tūfān ga.e
terī ek ek adā pahchānī
apnī ek ek ḳhatā maan ga.e
us ko samjhe ki na samjhe lekin
gardish-e-dahr tujhe jaan ga.e
Top Urdushayar.com