bhūlī-bisrī yādoñ ko lipTā.e hue huuñ
TuuTā jaal samundar par phailā.e hue huuñ
vahshat karne se bhī dil bezār huā hai
dasht o samundar āñchal meñ simTā.e hue huuñ
vo ḳhushbū ban kar aa.e to be-shak aa.e
maiñ bhī dast-e-sabā se haath milā.e hue huuñ
TūTe-phūTe lafzoñ ke kuchh rañg ghule the
un kī mehñdī aaj talak bhī rachā.e hue huuñ
jin bātoñ ko sunñā tak bār-e-ḳhātir thā
aaj unhīñ bātoñ se dil bahlā.e hue huuñ