gardish-e-mīnā-o-jām dekhiye kab tak rahe
ham pe taqāzā harām dekhiye kab tak rahe
terā sitam ham pe aam dekhiye kab tak rahe
talḳhī-e-daurāñ pe naam dekhiye kab tak rahe
chhā ga.iiñ tārīkiyāñ kho gayā husn-e-nazar
va.ada-e-dīdār-e-ām dekhiye kab tak rahe
ahl-e-ḳhirad sust-rau ahl-e-junūñ tez-gām
shauq kā ye ehtimām dekhiye kab tak rahe
sub.h ke sūraj kī zau dekhiye kab tak na aa.e
dahr pe ye rañg-e-shām dekhiye kab tak rahe