Sahab Qazalbash

ghamon ke zaKHm uThate rahe KHushi ke liye

Sahab Qazalbash

Jhalawar, Rajasthan, India

1944-2004
ġhamoñ ke zaḳhm uThāte rahe ḳhushī ke liye
taras ga.e haiñ mohabbat kī zindagī ke liye
kalī tabassum-e-be-sāḳhta se phuul banī
ye lamha kaafī hai ab puurī zindagī ke liye
ġhurūb-e-mehr pe kis ne lahū chaḌhāyā hai
ye kis ne ḳhuun jalāyā hai raushnī ke liye
ye kaisī dil kī lagī hai ki apnī umr-e-azīz
miTā.e dete haiñ ham ek ajnabī ke liye
ḳhud apne jaisā hī insān zindagī māñge
ye kaisā vaqt-e-ḳhudā.ī hai aadmī ke liye
abhī na toḌo umīd-e-vafā ke phūloñ ko
mujhe to un kā bharosa thā zindagī ke liye
Top Urdushayar.com