dil pe gar choT na lagtī to na ishrat thī na ġham
saaz ke parde se bāhar na nikaltā sargam
ham ko baḳhshā hai zamāne ne jahāñ-bhar kā alam
tāb-e-ḳhurshīd se chhalnī huā qalb-e-shabnam
ab ye hālat hai ki vo ḳhud hue mā.il-ba-karam
aaj yaad aa.e bahut ham ko zamāne ke sitam
ḳhāk-e-parvāna dam-e-sub.h uḌī jaatī hai
khul na jaa.e kahīñ mahfil ke charāġhoñ kā bharam
jaise uushā kī laraztī huī pahlī aahaT
yuuñ tabassum tire hoñToñ pe hai darham-barham
ḳhāliq-e-jūd-o-saḳhā ye to baḌī baat na thī
terī duniyā meñ tabassum ko taraste rahe ham